Ek Gaon Mein Kareeban 1200 ki jansankhya thi jismein do Parivar Golu Aur Shyam Ka Bhi Tha.Golu ke Parivar ki dincharya acche tarike se Gujar jaati thi Kyunki vah rojana kam per jata tha, isliye Golu bahari Logon se aur Anjan Logon se Kafi ghul mil Sa Gaya Tha.
Magar Apne Parivar ke sadasyon ke sath uski bahut khinchatani hoti Thi Jab Bhi Koi Ghar per Baat Nikalti to vah bahas karne Par Utar aata tha aur Parivar Walon se Roj jhagada Karke Bahar chala jata tha
Uske Parivar wale yah samajh Nahin Pa rahe the ki Golu Itna chidchida Kyon Ho Jata Hai Hamesha Sidhi baat ka Ulta jawab kyon deta hai
Vahi dusri taraf se kam Sab Logon se Ghul Mil kar rahata tha Apne Parivar se bhi aur Bhari Anjan Logon se bhi
Jab Golu ke Parivar wale Shyam Se puchne Lage ki Golu Parivar Ke Logon se Itna Chidha Chidha kyon rahta Hai Tum To Uske Dost Ho Tumhe Pata hoga,
Tab Shyam Ne Kaha Mujhe is bare mein pata nahin hai lekin Main Ek Aise Baba ko Jaanta hun jo Golu ko theek kar sakte hain,
Agale Din Golu Aur Shyam Baba ke pass chale gaye Shyam Ne Baba Ko Golu ki sari samasya batai, Baba Ne Golu ki sari kahaniyan Dhyan se Suni Fir Baba Ne Kaha...
Beta Golu Jin paraye aur Anjan logo se tum ghul Milkar rahte ho ye Soch kar ki yah log Kabhi Na Kabhi To Kam aaenge yah samasya Aane per Meri madad Karenge to Tumhara aisa sochana 70 fisdi tak galat hai.
Kyunki Jab Tumhen Kuchh hoga to sabse pahle Tumhare Parivar wale Khade Honge na ki paraaye log isliye ghar ke bahar beshak Tum Ek dimag Lekar jao Kyunki Duniya Ek Bajar hai lekin Ghar Ke Andar Dil Lekar jao Kyunki vahan Tumhara Apna Ek Parivar hai.
Comments
Post a Comment